Ye Dil Tumhe Chahe Par...

Kitna  Pyaar kare tumse tumko ye keh na paaye,
Aur ye baat humhe sataaye, tadpaaye,
Kitne aason ye dil bahaaye,
Haal-e-dil na keh paaye,
Par ye jo dil hai,
Naadaan hai,
Zamaane se darta hai,
Sochta ek aisi duniya hai jisme tumhaara saath hai,
Pyaar ke do shabd bole bhi,
Par jis se pyaar ho, uske saamne alfaaz nhi,
Zindagi se bhaage,
Par koi isse samjhaye, ki tum hi iski zindagi jo mann bhaaye,
Har gadhi har lamha maange saath tumhaara,
Par sheeshe se iss dil ko bikharne ka darr sata ta,
YE DIL CHAHE TUMHE PAR TUMKO YE KEH NA PAAYE,
AUR YE BAAT HUMHE SATAYE, TADPAAYE.

Jab kabhi tum nazar aaye,
Ye sama, waqt aur ye duniya sab tham sa jaaye,
Kuch bhi na dikhe iss jahan mein tere bina,
Tere bina jeena bhi hai kya jeena,
Par ye mann saala kamina na maane iss baat ko,
Isko toh doorie ka hi ek ghooth peena,
Dil ke liye tumho khoobsurti ka ek naya mukaam,
Iss janam mein mile toh sahi, nahi toh koi aur aayaam,
Kehna chahe apne dil ke chuppe raaz tumse,
Par ek ajeeb sa rishta judd gaya hai gham se,
YE DIL CHAHE TUMHE PAR TUMKO YE KEH NA PAAYE,
AUR YE BAAT HUMHE SATAYE, TADPAAYE.

Ae dil-e-naadan,
Ye pyaar hai ek jung se aasaan,
Jung mein jo mare woh shaheed,
Pyaar ke teer se jo mare uska na toh koi wajood na koi naamon nishaan,
Reh jaayenge peeche kai pareshaan,
AE DIL MAAF KAR KHATA HUMAARI,
NA KEH PAAYE DIL KI BAAT TUMHAARI,

Comments